Apki rangat apki khoobsurti ki raah me nhi a sakti.ham sabhi ki life me aisa time ata h jab hamari skin bahot hi dull aur bejaan lgti hai. girls ho ya boys sabhi chahte h unki skin glowing aur khoobsurat dikhe .toh aaiye jante hai kuch zaruri baate apni skin ke bare me-
Dull skin kya aur kyu hoti hai ?
Jab hmari skin apna nutrition kho deti hai aur ham apni skin ke upar dhyan dena band kar dete hai toh hmari skin bahot hi thaki aur unhealthy dikhne lgti hai. hmari aankho ke neeche kaale ghere ya dark circle a jate hai. skin ka color dark hone lgta hai .hmari skin me paani ki kami ho jati hai yaani dehydrated skin ka hona.
Hmari skin me hamari diet bhi bahot zaruri role nibhati hai. agar hm zyadatar oily food khate h toh uska asar bhi hmari skin pe saaf nazar aane lgta hai. iske alawa agar hm alcohal ya smoking karte hai toh hmari skin dehydrate ho jati h jo ki skin k lie bahot harmful hai.
Iske sath hi agar hm time par sote nhi hai ya bahot kam sote hai toh hmari ankho se hi hmari thakan ka pata chalne lgta hai. iske sath hi agar hm makeup ko apni skin se sahi tarah se saaf nhi karte toh bhi hmari skin dhere dhere dull hone lagti hai.
Dull skin ke lie gharelu nuskhe-
1. Lemon –
- lemon ko nichodkar uska ras ek bowl ne nikal le
- ek cotton pad ko isme bhigo kar apne face par lagae
- 15 se 20 minutes ke lie laga rahne de phir pani se dho le.
2. Honey-
- shahed ko apni ungliyo se achhi tarah apni skin par lagae.
- 10 se 15 min k lie rahne de phir halke gungune pani se dho le
- aap isme lemon bhi use kar sakte hai honey k sath.
3. Aloe vera–
- Aloe vera gel ko apne hatho me lekar apne face 15 se 20 min k lie lagae phir normal pani se dho le.
4. Dahi-
- dahi ko shahed ke sath mix kare
- is mixture ko face par 15 min. k lie lagakar pani se dho le.
5. Cucumber–
- adha kheera aur 1 spoon aloe vera gel ko peeskar paste bana le .
- is paste ko 20 min face par lagakar gungune pani se dho le.
6. Besan –
- ek bowl me 2 spoon besan le aur usme half teaspoon haldi mila kar paste banane k lie doodh ka use kar ke paste bana le
- is paste ko 15 min. k lie skin pe laga kar pani se dho le.
7. Malai –
- malai ko haldi aur besan k sath milakar paste bana le
- 15 min k lie chehre par lagae phir pani se dho le.
8. Banana face mask –
- ek banana ko 1 spoon honey ke sath mix karke chehre par lagae
- 10 min. bad pani se dho le.
9. Sugar –
- 3 spoon shakkar ko halke garam doodh k sath mila kar chehre par achhi tarah massage kare
- 15 min bad pani se dho le.
10. Multani Mitti face pack-
- multani mitii ko pani ya rose water me mix karke chehre par lagae
- jab ye sukhne lage toh kam se kam 20 min. bad ise normal pani se dho le.
7 amazing benefits of Multani mitti
Hi everybody , can anyone recommend where I can purchase Body Butter CBD Topical 150mg By Phoenix Natural Wellness?
I抳e recently started a website, the info you offer on this web site has helped me tremendously. Thanks for all of your time & work.